Search Bar

Breaking

Wednesday, 19 September 2018

PicsArt ke Tools Ko kaise use kare? - PicsArt tools editing features

Hello friends, Mera Naam Mahendar Kori hai. aaj main is naye post me PicsArt  Tool ke basic Feature ke baare me baat karunga ki yah konse tools hai aur inhe kaise use kiya jata hai. aur yah hum editing me kya help karenge. is app ka download link me aapko niche de dunga waha se aap asani se download kar sakte ho.


1. CROP
 yah tool kisi bhi photo ko size chota kar ne liye use hota hai. isse photo ki resolution bhi kam kiya jaa sakta hai. isme hum jo size ki photo chahiye waise hum crop kar ke edit kar sakte hai. agar hum is tool ko use karte hai to h photo zoom bhi ho jata hai.

2. FREE CROP
yah tool mostly sab kisi bhi photo ka background erase karne ke liye use karte hai. is tool me portrait mode bhi hai. yah mode automatically photo ke resolution ke hisab se khud crop kar deta hai. agar is tool me kuch external portion bhi crop ho jaye toh hum use erase kar ke hata sakte hai.

3. SHAPE CROP
yah tool bhi kisi bhi photo ko crop karne ke liye use hota hai. but, is tool me hume shape crop milenge. isme alag alag tarah ke shape milenge crop karne ke liye. hume apni photo ki size ke hisab se crop kar sakte hai.

4. DISPERSION
Is tool me bahot saare triangle ke dots hai. yah tool kisi bhi area me triangle shape ke dots dene ke liye use hota hai.

5. CLONE
Yah tool kisi bhi photo me se koi bhi object ya picture ko hatane ya delete karne ke liye hota hai.

6. STRECH
Yah tool basically hairs ko stretch karne ke liye use hota hai. yah phir kisi photo ke object ko stretch karne ke liye use hota hai. is tool me is ke dher saare types ke stretch brush hai.

7. MOTION
Yah tool photo me motion dalne ke liye use hota hai. isme hum area select karna padta hai jo hume motion me lana hai. select karne ke baad hume use jitna motion me lana hai utna stretch hume karna hoga.

8. SELECTION
 yah tool se hum photo ke kisi bhi area me effect dalne ya crop karne ke liye use hota hai.

9. CURVES
Yah tool photo me color effect dalne ke use hota hai. is tool me 3 Color hai RED, GREEN AND BLUE. isme normal tool bhi jo ki photo ki brightness level kam ya jyada karne ke liye use hota hai.

10. ADJUST
Yah tool bahot hi important tool hai editing ke liye is tool me BRIGHTNESS, CLARITY, HUE, CONTRAST, SATURATION, HIGHLIGHT,  SHADOW, TEMPERATURE jaise tools mil jayenge. yah basically photo ke color correction karne ke liye use hota hai.

11. ENHANCE
yah tool bhi photo me effect dalne ke liye use hota hai. is tool me saturation bhi hai use hum increase kar sakte hai.

12. TILT SHIFT
Yah tool Background ko blur karne ke liye use hota hai. is tool me hum background ko do tarah se blur kar sakte hai. pehla Linear isme hum photo ko square me blur kar sakte hai aur dusra Radial isme hum photo ko circle me blur kar sakte hai.

13. PERSPECTIVE
Is tool me hum photo ko hum stretch kar ke crop kar sakte hai.

14. RESIZE
Yah tool kisi bhi photo ko uske size ke hisab se adjust kar sakte hai. isme hum photo ko unka size likh kar chota bada kar sakte hai.

15. FLIP/ROTATE
Yah Tool photo ko rotate karne ke liye use hota hai. isme hum photo ko ulta sidha, upper niche kaise bhi rotate kar sakte hai.

PICSART MOD APK : CLICK HERE


No comments:

Post a Comment

If you have any doubt, let me know